Ghaar Ke Munh Se Ye ChaTTan HaTane Ke Liye
ghaar ke munh se ye chaTTan haTane ke liye
koi neki bhi nahin yaad dilane ke liye
ek nigah-e-ghalat-andaz ka imkan nikla
kuchh zamin aur mili panw baDhane ke liye
us ki rahon mein paDa main bhi hun kab se lekin
bhul jata hun use yaad dilane ke liye
subh darweshon ne phir rah li apni apni
main bhi baiTha tha wahan qissa sunane ke liye
wo mere sath to kuchh dur chala tha lekin
kho gaya KHud bhi mujhe rah pe lane ke liye
ek shab hi to basar karna hai is dasht mein 'zeb'
kuchh bhi mil jae yahan sar ko chhupane ke liye
(1251) Peoples Rate This