Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8c645f05caf3516c03260ca060b6d4ce, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Din Teri Yaad Mein Dhal Jata Hai Aansu Ki Tarah - Zeb Ghauri Poetry In English - Darsaal

Din Teri Yaad Mein Dhal Jata Hai Aansu Ki Tarah

din teri yaad mein Dhal jata hai aansu ki tarah

raat taDpati hai ek nashtar-e-pahlu ki tarah

jaane kis soch mein Duba hua tanha tanha

dil ka aalam hai kisi sarw-e-lab-e-ju ki tarah

hae wahshat koi manzil ho Thaharta hi nahin

waqt hai dam se chhuTe hue aahu ki tarah

rah gai ghuT ke mere dil mein tamanna teri

ek parwaz-e-shikasta par-o-bazu ki tarah

majlis-e-shaiKH mein kal zikr tha jis ka ai dost

hogi jannat bhi koi shai tere pahlu ki tarah

'zeb' ab zad mein jo aa jae wo dil ho ki nigah

us ki raftar hai chalte hue jadu ki tarah

(1051) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Teri Yaad Mein Dhal Jata Hai Aansu Ki Tarah In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Din Teri Yaad Mein Dhal Jata Hai Aansu Ki Tarah is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Din Teri Yaad Mein Dhal Jata Hai Aansu Ki Tarah for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Din Teri Yaad Mein Dhal Jata Hai Aansu Ki Tarah in PDF.