Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_81ac396cc468a52ae797181fb37d686d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bujhte Suraj Ne Liya Phir Ye Sambhaala Kaisa - Zeb Ghauri Poetry In English - Darsaal

Bujhte Suraj Ne Liya Phir Ye Sambhaala Kaisa

bujhte suraj ne liya phir ye sambhaala kaisa

uDti chiDiyon ke paron par hai ujala kaisa

tum ne bhi dekha ki mujh ko hi hua tha mahsus

gird us ke ruKH-e-raushan ke tha haala kaisa

chhaT gaya jab meri nazron se sitaron ka ghubar

shauq-e-raftar ne phir panw nikala kaisa

kis ne sahra mein mere waste rakkhi hai ye chhanw

dhup roke hai mera chahne wala kaisa

'zeb' maujon mein lakiron ki wo gham tha kab se

gardish-e-rang ne paikar ko uchhaala kaisa

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujhte Suraj Ne Liya Phir Ye Sambhaala Kaisa In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Bujhte Suraj Ne Liya Phir Ye Sambhaala Kaisa is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Bujhte Suraj Ne Liya Phir Ye Sambhaala Kaisa for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Bujhte Suraj Ne Liya Phir Ye Sambhaala Kaisa in PDF.