Bahaar Kaun Si Tujh Mein Jamal-e-yar Na Thi
bahaar kaun si tujh mein jamal-e-yar na thi
mushahida tha tera sair-e-lala-zar na thi
mahakti zulfon se KHoshe gulon ke chhuT gire
kuchh aur jaise ki gunjaish-e-bahaar na thi
hum apne dil hi ko rote the lekin is ke liye
jahan mein kaun si shai thi jo be-qarar na thi
talash ek bahana tha KHak uDane ka
pata chala ki hamein justuju-e-yar na thi
jhuka hai qadmon mein tere wo sar ki jis ke liye
koi jagah bhi munasib siwae dar na thi
na jaane 'zeb' dil-e-zar kyun taDap uTTha
hawa-e-subh thi KHushbu-e-zulf-e-yar na thi
(1147) Peoples Rate This