Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fa40f129dcd6015eb2e358e23def8cca, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aur Gulon Ka Kaam Nahin Hota Koi - Zeb Ghauri Poetry In English - Darsaal

Aur Gulon Ka Kaam Nahin Hota Koi

aur gulon ka kaam nahin hota koi

KHushbu ka inam nahin hota koi

thak gaya ek kahani sunte sunte main

kya is ka anjam nahin hota koi

sahraon mein KHak uData phirta hun

is ke alawa kaam nahin hota koi

dekho to kya KHush rahte hain dil wale

puchho to aaram nahin hota koi

chaTTanen bas saKHt hua karti hain 'zeb'

chaTTanon ka nam nahin hota koi

(1025) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Gulon Ka Kaam Nahin Hota Koi In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Aur Gulon Ka Kaam Nahin Hota Koi is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Aur Gulon Ka Kaam Nahin Hota Koi for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Aur Gulon Ka Kaam Nahin Hota Koi in PDF.