Gul-posh Baam-o-dar Hain Magar Ghar Mein Kuchh Nahin
gul-posh baam-o-dar hain magar ghar mein kuchh nahin
ye sab nazar ka nur hai manzar mein kuchh nahin
maujon ka iztirab ho ya gauhar-e-hayat
ehsas ka fusun hai samundar mein kuchh nahin
parchhaiyon ka nach hai viran sahn mein
aaseb-e-shab hai aur mere ghar mein kuchh nahin
manzil se be-niyaz chale ja rahe hain log
bhaTke huon ki aankh ke patthar mein kuchh nahin
din raat jhankta hai darichon se zehn ke
afkar ka jamal hai paikar mein kuchh nahin
'zauqi' gali gali mein hain takiye fareb ke
aghraaz ki sada hai qalandar mein kuchh nahin
(1011) Peoples Rate This