Tamanna Hai Kisi Ki Tegh Ho Aur Apni Gardan Ho
tamanna hai kisi ki tegh ho aur apni gardan ho
phir us ke baad yarab sar kaTe nale mein madfan ho
hujum-e-am ho aur mujtama goron ki palTan ho
samajh lo lauT aae hain jo station pe dan dan ho
kahen qatil ko hum mahbub agar hai ain nadani
hazar lazim hai aise shaKHs se jo apna dushman ho
lab-e-shirin agar mashuq ka qand-e-mukarrar hai
jabhi jaanen ki baiThen makkhiyan aur us pe bhan bhan ho
na turbat ki jagah kuche mein pai to shikayat kya
gali un ki koi takiya hai jis mein apna madfan ho
ye sab lakDi ke taKHte KHak mein mil jaen jal-bhun kar
ghazab ho jae gar sach-much lahad mein dagh raushan ho
yahi dahshat agar dast-e-junun ki hai to ai bhai
dupaTTa oDh lo jis mein gareban ho na daman ho
nigah-e-shauq kya Thahri wo goya belcha Thahri
makan-e-yar ki diwar mein jis se ki rauzan ho
machae shor-o-ghul aah-e-sharar-afshan kare har-dam
yahi ausaf lazim hai to aashiq kyun ho engine ho
hamara jhonjh phulwari mein ho koi nahin kahta
yahi kahte hain yarab bagh mein apna nasheman ho
azal se ta-abad lambi yaqin hai Tang bhi hogi
hasin shoKH wo sahra-e-mahshar jis ka daman ho
'zarif' insaf se kah do wo aashiq hai ki chuha hai
zamin-e-qasr-e-jaanan mein jo ye chahe ki maskan ho
(1190) Peoples Rate This