Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a6b47cb54679129e48a6108254b96e77, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qais Kahta Tha Yahi Fikr Hai Din-raat Mujhe - Zareef Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Qais Kahta Tha Yahi Fikr Hai Din-raat Mujhe

qais kahta tha yahi fikr hai din-raat mujhe

mar de naqa-e-laila na kahin lat mujhe

ruKH-e-raushan pe fida aur na siyah-zulf ka KHabt

na koi din hai mujhe aur na koi raat mujhe

maktab-e-ishq mein baiTha hua hal karta hun

jaise algebra ke milte hain sawalat mujhe

botalen bechte naKHKHas mein dekha us ko

kis jagah ja ke mila pir-e-KHarabaat mujhe

ghusl-KHane mein ye ghassal se murda bola

jail hai qabr to ye ghar hai hawalat mujhe

rishta-e-umr hai kam aur meri rassi hai daraaz

aai charKHe se ye aawaz na tu kat mujhe

nai tahzib ne mashuq ka fashion badla

card bhejun to mayassar ho mulaqat mujhe

dard-e-dil ishq mein hai kahe se sekun main 'zarif'

na falalin hi milti hai na banat mujhe

(1218) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qais Kahta Tha Yahi Fikr Hai Din-raat Mujhe In English By Famous Poet Zareef Lakhnavi. Qais Kahta Tha Yahi Fikr Hai Din-raat Mujhe is written by Zareef Lakhnavi. Read famous Poem Qais Kahta Tha Yahi Fikr Hai Din-raat Mujhe for youth and Student by Zareef Lakhnavi. Free Download Qais Kahta Tha Yahi Fikr Hai Din-raat Mujhe in PDF.