Mahsharistan-e-junun Mein Dil-e-nakaam Aaya
mahsharistan-e-junun mein dil-e-nakaam aaya
nala hangama-nawazi pe sar-e-sham aaya
mehr az-ru-e-mualla jo lab-e-baam aaya
dekhiye dekhiye ab dhup gai gham aaya
barq ki shoala-nawazi sabab-e-tul-e-hayat
fitrat-e-maut teri zist ka hangam aaya
muntashir ho gae jis waqt sab ajza-e-hayat
qatra dariya mein ba-andaza-e-anjam aaya
tausan-e-umr-e-gurezan ki subuk-raftari
kaam deti nahin jab maut ka paigham aaya
markaz-e-ruh ye hai kashmakash-e-maut-o-hayat
phir bhi waraftagi-e-shauq pe ilzam aaya
main wo aasuda-e-soz-e-KHalish-e-mizgan hun
jis ko rah-e-talab-e-shauq mein aaram aaya
tur se ek kashish-e-mashq thi surat-gar-e-shauq
tujh par ai wadi-e-aiman abas ilzam aaya
sard-mehri se kisi ko jo hui hajat-e-ghusl
garm-joshi ko baghal mein liye hammam aaya
zulf ke jal mein mashuq ka sar hai KHud bhi
qaidiyon muzhda ki sayyaad tah-e-dam aaya
qabr se rasta sidha hai KHuda ke ghar ka
jo udhar jaane laga bandh ke ehram aaya
hai agar nam isi ka adbiyat-e-latif
to 'zarif' is ko kahen kya jise ye kaam aaya
(1439) Peoples Rate This