Karenge Sab Ye Dawa Naqd-e-dil Jo Haar BaiThe Hain
karenge sab ye dawa naqd-e-dil jo haar baiThe hain
KHafifa mein tumhaare aashiq-e-nadar baiThe hain
ajab kya aashiqon ko dil mein ye mashuq kahte hon
ye kyun ghar gher kar mera KHuda ki mar baiThe hain
shab-e-furqat ka ek dariya-e-gham hai beach mein hail
jo main is par baiTha hun to wo us par baiThe hain
koi hai ittilaa is waqt kar de ja ke thane par
wo mere qatl par khinche hue talwar baiThe hain
safedi KHana-e-dil mein siyah-karon ke pherenge
nahin mimbar pe waiz paD par meamar baiThe hain
pakaD kar kan apna dars-gah-e-ishq mein aashiq
hazaron bar uTThe hain hazaron bar baiThe hain
kaha karte the walid qais ke fart-e-mohabbat mein
nahin malum kis jangal mein bar-KHurdar baiThe hain
'zarif' ab faeda kya shairon ko sardi khane se
ghazal hum paDh chuke ghar jaen kyun be-kar baiThe hain
(1022) Peoples Rate This