Machanic Shaer
baiThe baiThe dil mein ek shaer ke aaya ye KHayal
shairi se baDh ke bhi duniya ko dikhlae kamal
raushni mein shams ki DhunDa to sancha mil gaya
ittifaqan us ko ek motor ka Dhancha mil gaya
tube tyre burst aur engine ki haalat thi KHarab
bajte the midguard jaise bajte hain chang-o-rabab
kuchh clutch mein thi KHarabi aur TuTe the break
sar se pa tak screw Dhila tha us ka ek ek
us ke bearing gal chuke the aur gudgeon-pin the KHarab
yani suraj ki tarah Dhalta hi jata tha shabab!
raste se us ke logon ko haTane se tha kaam
yun siwae horn ke bajte the kal-purze tamam
aur ye aalam tha jahan bhi rokna maqsud ho
bas isi andaz se petrol is mein Dal do
ya kisi bijli ke khambe hi se Takra do ise
do tariqon mein se jaise chaho Thahra lo ise
jab hui start to samjho qayamat aa gai
jo bhi is motor mein baiTha us ki shamat aa gai
baiThne walon ka aksar rah mein hota tha khel!
ek kahta tha ki han main baiThta hun tu dhakel!
us ke kal-purze bhi aur saman bhi kam-yab tha
us ka order hi mein aa jaana KHayal-o-KHwab tha
jis ne is motor ko dekha aql us ki KHabt thi!
sochte the dil mein ye hazrat ki ab kya kijiye
al-gharaz tai kar liya purzon ka chanda kijiye
axel to ford se piston bhi citeron se liye
aur KHushamad karke tyre tube michelon se liye
mang li body fiat se aur purze bhi mile
radiator austin se horn chewerlet se
batri to buke ki li aur cylinder dodge ka!
ek purana magnet studebaker ne diya
auckland ka bhi purana sa gear-box aa gaya
tan ke dhakne ke liye morris ka bonnet chha gaya
han hamari bicycle ne bhi kiya ye kar-e-nek
rahm kha kar us ko apne de diye donon break
sare kal-purze faraham ho chuke jab ek sath
un ke fiT karne ko uTTha shair-e-rangin ka hath
raat ko do do baje tak Thoka-piTi se tha kaam
jis ke bais nind ham-sayon ki hoti thi haram
ek be-jaan chiz se sachchi mohabbat dekh kar
rah gae hairat mein sab shaer ki jiddat dekh kar
baat bigDi thi kahan par aur kahan par ban gai
is tarah se 'doctor-yawar' ki motor ban gai
(1267) Peoples Rate This