Layal-pur Ke Machchhar
ye layal-pur ke machchhar jo mil walon ne pale hain
bahadur surma sawant tagDe aur jiyale hain
munazzam taur se mehman pe shab-KHun marne wale
ye wo hain jo nahin kaunain se bhi haarne wale
filaT chhiDke hue kamron mein bhi tan-tan ke aate hain
wo sab mil kar KHushi mein fath ke baje bajate the
kabhi wo chaarpai par kabhi wo farsh par baiThe
dimagh uncha hawa itna ki uD kar 'arsh' par baiThe
kisi machchhar ne baDh kar hazrat-e-'maKHmur' ko kaTa
KHumar utra to chhaya aalam-e-hasti mein sannaTa
kabhi raghib se raghbat ki kabhi sahil pe aa baiThe
sawab-e-haj ki KHatir maulwi 'mahir' pe ja baiThe
kabhi 'azad' ko chakkha kabhi 'ehsan' ko chaTa
sitam ye hai ki mujh se sahib-e-iman ko kaTa
miyan-sayyad-mohamad-jafari ki ghair haalat thi
jo munh khola ghuse munh mein lihaf oDha to shamat thi
kaha 'aKHtar' se panDit-ji hamara bhi bhajan sun lo
bahut hi muKHtasar hai qissa-e-dar-o-rasan sun lo
bahut tang aa gae jab machchharon ki Dank-mari se
to sab shaer taDap uTThe nihayat be-qarari se
kameti kar ke aapas mein yahi ek baat tai pai
jawabi hamla un par ho ba-sad sabr-o-shakebai
bahut hushyar hokar an se laDne ki jo bai hai
kahin sab shairon aur machchharon ki jang jari hai
kabhi tali bajate the kabhi wo sar khujate the
wo ghabrahaT mein mil kar ek hi misra ye gate the
zara si jaan ki changez-KHani dekhte jao
ab uTTha chahti hai lash-e-'fani' dekhte jao
(1697) Peoples Rate This