Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_31be5c6af43d3ae3c89352b8c20bae4b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Us Sham Ko Jab RuTh Ke Mein Ghar Se Chala Tha - Zameer Kazmi Poetry In English - Darsaal

Us Sham Ko Jab RuTh Ke Mein Ghar Se Chala Tha

us sham ko jab ruTh ke mein ghar se chala tha

ek saya bhi bichhDe hue manzar se chala tha

ab aasman hathon mein hai pairwi mein zamin hai

main be sar-o-saman tere dar se chala tha

be-bas use kar degi hawaon ki siyasat

baadal ka wo TukDa jo samundar se chala tha

dene laga aakash ke darwazon pe dastak

insan ka wo daur jo patthar se chala tha

us shaKHs ki shohrat ko na paimana banao

khoTa tha wo sikka jo muqaddar se chala tha

(1135) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Sham Ko Jab RuTh Ke Mein Ghar Se Chala Tha In English By Famous Poet Zameer Kazmi. Us Sham Ko Jab RuTh Ke Mein Ghar Se Chala Tha is written by Zameer Kazmi. Read famous Poem Us Sham Ko Jab RuTh Ke Mein Ghar Se Chala Tha for youth and Student by Zameer Kazmi. Free Download Us Sham Ko Jab RuTh Ke Mein Ghar Se Chala Tha in PDF.