Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6a085b62f44ecaab2d1e80acdecdbcbe, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Duniya Ki Saltanat Mein KHuda Ke KHilaf Hain - Zameer Kazmi Poetry In English - Darsaal

Duniya Ki Saltanat Mein KHuda Ke KHilaf Hain

duniya ki saltanat mein KHuda ke KHilaf hain

shahr-e-charagh mein jo hawa ke KHilaf hain

farsuda-o-fuzul riwayat ke nam par

apne tamam dost wafa ke KHilaf hain

KHamoshiyon ke dasht mein kyun chiKHte ho tum

qanun sab yahan ke sada ke KHilaf hain

kab se uDa rahi hain qanaat ki dhajjiyan

ye hajaten jo sabr-o-raza ke KHilaf hain

insaniyat ki KHair ho yarab zamin par

kuchh be-shuur lamhe faza ke KHilaf hain

lab ke tamam harf hue be-asar 'zamir'

haalat-e-zindagi ke dua ke KHilaf hain

(1188) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Ki Saltanat Mein KHuda Ke KHilaf Hain In English By Famous Poet Zameer Kazmi. Duniya Ki Saltanat Mein KHuda Ke KHilaf Hain is written by Zameer Kazmi. Read famous Poem Duniya Ki Saltanat Mein KHuda Ke KHilaf Hain for youth and Student by Zameer Kazmi. Free Download Duniya Ki Saltanat Mein KHuda Ke KHilaf Hain in PDF.