Dil Ka Mausam Zard Ho To Kuchh Bhala Lagta Nahin

dil ka mausam zard ho to kuchh bhala lagta nahin

koi manzar koi chehra KHushnuma lagta nahin

dhundle dhundle ajnabi se log aate hain nazar

muddaton ka aashna bhi aashna lagta nahin

saKHt mushkil ho gaya hai imtiyaz-e-KHub-o-zisht

phul si poshak mein bad-KHu bura lagta nahin

luT kar aate nahin kyun aashiyanon ki taraf

bhole-bhaale panchhiyon ka kuchh pata lagta nahin

yasiyat jab phail jae matla-e-afkar par

rasta koi bhi apna rasta lagta nahin

iltija ki Tahniyan hoti nahin hain kyun hari

kyun samar meri dua mein ai KHuda lagta nahin

(1388) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ka Mausam Zard Ho To Kuchh Bhala Lagta Nahin In English By Famous Poet Zameer Azhar. Dil Ka Mausam Zard Ho To Kuchh Bhala Lagta Nahin is written by Zameer Azhar. Read famous Poem Dil Ka Mausam Zard Ho To Kuchh Bhala Lagta Nahin for youth and Student by Zameer Azhar. Free Download Dil Ka Mausam Zard Ho To Kuchh Bhala Lagta Nahin in PDF.