Rahaton Ke Dhoke Mein Iztirab DhunDe Hain
rahaton ke dhoke mein iztirab DhunDe hain
hum ne apni KHatir hi KHud azab DhunDe hain
ye to us ki aadat hai rose gul masalta hai
aaj bhi masalne ko kuchh gulab DhunDe hain
raat aandhi aane par uD gae the KHeme sab
ghafilon ne mushkil se kuchh tanab DhunDe hain
teri hukmarani bhi KHatm hone wali hai
hum ne kuchh kitabon mein inqalab DhunDe hain
mere kuchh sawalon ke tum ne ek muddat mein
masalon se haT kar hi kyun jawab DhunDe hain
kale karname aur kala munh chhupane ko
kuchh safed-poshon ne kuchh naqab DhunDe hain
dekhiye 'zamir' hum bhi hain ajab hi diwane
chhoD kar haqiqat ko hum jawab DhunDe hain
(1091) Peoples Rate This