Amiron Ke Bure Atwar Ko Jo Thik Samjhe Hai
amiron ke bure atwar ko jo Thik samjhe hai
meri haq baat ko wo qabil-e-tashkik samjhe hai
bahut mushkil hai jo us ki gharibi dur ho jae
ajab KHuddar hai imdad ko bhi bhik samjhe hai
mere bare mein us ke kan bharta hai koi shayad
bayan tausif karta hun to wo tazhik samjhe hai
tere KHat teri taswiren shikasta-dil ke kuchh TukDe
tera diwana in sab ko teri tamlik samjhe hai
main us ke har guman ka pas akasr rakkha karta hun
mera dil apne dil ke wo bahut nazdik samjhe hai
chale hai is tarah jaise chale talwar par koi
wo meri rahguzar ko jaane kyun barik samjhe hai
siyasat ke andheron ne ujale sab nigal Dale
gharib insan din ko bhi shab-e-tarik samjhe hai
(1138) Peoples Rate This