Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3406818f219172511c44b1136f1c3326, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Teri Yaadon Ne Tanha Kar Diya Hai - Zaman Kanjahi Poetry In English - Darsaal

Teri Yaadon Ne Tanha Kar Diya Hai

teri yaadon ne tanha kar diya hai

mujhe andar se sahra kar diya hai

KHafa ho kar shua-e-mahr ne bhi

mere aangan ko suna kar diya hai

siyahi kis ki nazron mein bhari hai

dilon ko kis ne kala kar diya hai

ye kis ne aainon par gard phenki

har ek manzar ko dhundla kar diya hai

kisi bhi shaKH par patta nahin hai

hawa ne sab ko nanga kar diya hai

'zaman' ab raushni ka zikr kaisa

mujhe suraj ne andha kar diya hai

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Yaadon Ne Tanha Kar Diya Hai In English By Famous Poet Zaman Kanjahi. Teri Yaadon Ne Tanha Kar Diya Hai is written by Zaman Kanjahi. Read famous Poem Teri Yaadon Ne Tanha Kar Diya Hai for youth and Student by Zaman Kanjahi. Free Download Teri Yaadon Ne Tanha Kar Diya Hai in PDF.