Zamin-e-ishq-o-wafa Pe UDti Hikayaten Bhi Nai Nahin Hain
zamin-e-ishq-o-wafa pe uDti hikayaten bhi nai nahin hain
lahu ki gardish mein raqs karti rifaqaten bhi nai nahin hain
mohabbaton ke ye faisle to KHuda-e-bartar ne likh rakhe hain
kahan talak hum bachaen daman ye chahaten bhi nai nahin hain
agarche dekhe hain zulf-o-lab ke hasin sapne to kya ghalat hai
nazar ke kheton mein KHwab bone ki hasraten bhi nai nahin hain
bahaar aate hi yun laga ki chaman darida-dahan hua hai
gulab-rut mein chaman pe nazil ye aafaten bhi nai nahin hain
pata nahin kyun wo KHush bahut hai fuzul masnad-nashin ho kar
sagan-e-masnad ki fatehana himaqaten bhi nai nahin hain
jhuki nazar se kalam kar ke asir kar le wo aashiqon ko
nazar nazar mein nazar churane ki aadaten bhi nai nahin hain
sanam ki ek ek ada pe 'zakir' nai ghazal ki hai kya zarurat
shararten bhi nai nahin hain nazakaten bhi nai nahin hain
(1224) Peoples Rate This