Usne Nigah-e-lutf-e-karam Bar Bar Ki
us ne nigah-e-lutf-e-karam bar bar ki
ab KHairiyat nahin hai dil-e-be-qarar ki
Dar ye hai khul na jae kahin raaz-e-ishq bhi
nibhne lagi hai un se mere raazdar ki
sab ke nasib mein hai kahan mauj-e-dard-o-gham
maKHsus hain inayaten parwardigar ki
yaadon ki anjuman mein unhen bhi bula liya
ek sham yun bhi hum ne bahut yaadgar ki
jab hum hi fasl-e-gul mein chaman se nikal gae
phir kyun suna rahe ho kahani bahaar ki
'zakir' hum apna dil bhi wahin chhoD aae hain
kis darja pur-kashish thi faza us dayar ki
(1517) Peoples Rate This