Umr Guzri Hai Kaamrani Se
umr guzri hai kaamrani se
koi shikwa nahin jawani se
misl-e-adam hai be-ghari apni
kaun Darta hai be-makani se
yun musalsal azab jhela hai
ashk lagne lage hain pani se
hum hi kirdar the kahani ke
hum hi bahar hue kahani se
sach chhupana muhaal hai sahab
jhuT se ya ki lan-tarani se
kya wo pariyan qamar-asir huin
sunte aae the hum jo nani se
zulmaton mein bhi hans ke khul jaana
us ne sikha hai raat-rani se
banjh aankhen huin magar 'zakir'
KHwab aate rahe rawani se
(1418) Peoples Rate This