Sukut-e-shab Mein Dil-e-dagh-dagh Raushan Hai
sukut-e-shab mein dil-e-dagh-dagh raushan hai
ki zaKHm zaKHm nahin hai charagh raushan hai
abhi junun salamat hai mera jaan-e-ghazal
kiran kiran hai tasawwur dimagh raushan hai
ajab majaz-o-haqiqat hai KHitta-e-duniya
jahan pe hans to maile hain zagh raushan hai
visal-e-yar ke lamhe hain aarzi lekin
masham-e-jaan mein magar sabz-bagh raushan hai
abhi hai dasht mein zinda firaq-e-lailai
agarche KHatm fasana suragh raushan hai
ghazal aankhen hain aisi ki kya kahun 'zakir'
gulab chehre pe do do ayagh raushan hai
(1248) Peoples Rate This