Sabhi Ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani Hai
sabhi ko KHwahish-e-tasKHir-e-shauq-e-hukmarani hai
hamein lagta hai apna dil nahin ek rajdhani hai
yahin tahrir hai lamhat-e-sar-basta ke afsane
kitab-e-zindagi ke har waraq par ek kahani hai
shikast-o-reKHt ka manzar meri aankhon mein rahne do
mujhe apne hi KHwabon ki abhi qimat chukani hai
talluq TuT jaane se mohabbat mar nahin jati
ye wo dariya hai jis mein bas rawani hi rawani hai
ye mere ashk-e-awara siyah-raaton mein jugnu hain
saja le apni palkon par unhen main zau-fishani hai
zara badle nahin hain ganw se hum shahr mein aa kar
hamare KHun mein zakir wahi saj-dhaj purani hai
(1196) Peoples Rate This