Raat Ka Husn Bhala Kab Wo Samajhta Hoga
raat ka husn bhala kab wo samajhta hoga
chand be-faiz andheron mein nikalta hoga
chand lamhon ki rifaqat ka asar hai shayad
dard miTha sa kahin aur bhi uThta hoga
hichkiyon se yahi andaza lagaya hum ne
yaad koi to dil-o-jaan se karta hoga
sath guzre hue mausam ka tasawwur le kar
barishon mein wo har ek sal bahakta hoga
bas yahi soch ke har rose likha karta hun
wo mera gham mere ashaar mein paDhta hoga
us ke ashkon ka gunahgar main ho jaunga
wo mujhe yaad agar kar ke sisakta hoga
yaad hongi use bhuli hui qasmen 'zakir'
wo mere zikr pe chup-chap Thaharta hoga
(1276) Peoples Rate This