PeT Ki Aag Mein Barbaad Jawani Kar Ke
peT ki aag mein barbaad jawani kar ke
panchhi lauTe hain abhi naql-e-makani kar ke
KHana-e-dil mein ghaDi-bhar ko Thaharna hai unhen
phir guzar jaenge har baat purani kar ke
ishq izhaar ka talib hai na matlub-e-nazar
faeda kya hai miyan shoala-bayani kar ke
ab wahan KHak uDa karti hai armanon ki
hum chale aae the manzil pe nishani kar ke
par lag jaega sanson ka safina ek rose
dhaDkanon mein teri yaadon se rawani kar ke
chand lamhon ka mera us ka safar tha aisa
raat ho jaise kahin sham suhani kar ke
us ki nazron mein haqiqat hai fasana 'zakir'
chhoD jaega mujhe ab wo kahani kar ke
(1268) Peoples Rate This