Palkon Pe Tairte Hue Mahshar Tamam-shud
palkon pe tairte hue mahshar tamam-shud
aankhen khulin to KHwab ke manzar tamam-shud
zinda hai bhuk aaj bhi ifrit ki tarah
tir-o-tafang-o-lashkar-o-KHanjar tamam-shud
logo tum apne zarf se baDh kar diya karo
is bar zaKHm bhar gae nashtar tamam-shud
tahrir kar raha tha kahani junun ki main
lekin KHayal-o-fikr ka mehwar tamam-shud
KHud apna aks aainon mein DhunDte hain log
shisha-garon ke shahr mein paikar tamam-shud
jab dhup oDhe baiThi ho ghurbat qatar mein
samjho KHudi ka aaKHiri zewar tamam-shud
'zakir' rachi-basi koi sazish faza mein thi
uDne se peshtar mera shahpar tamam-shud
(1740) Peoples Rate This