Labon Ki Jumbish Nawa-e-bulbul Hai ShoKH Lahja Tera Qayamat
labon ki jumbish nawa-e-bulbul hai shoKH lahja tera qayamat
daraaz qamat ghazal aankhen gulab chehra tera qayamat
ghaTaen zulfen KHumar palken mahin aanchal pe mah-o-anjum
suhani raaton ki chandni mein hai chhat pe jalwa tera qayamat
zamin-e-dil par ada-e-dilbar chalae nashtar uThae mahshar
nazar uThana nazar jhukana har ek harba tera qayamat
gulon ki lali shagufta aariz pe fasl-e-gul ki safir Thahri
nashile lab ki halawaton se dhaDakta naghma tera qayamat
jo tu ne khole hawa mein gesu mahak uTha hai tamam gulshan
hasin sumbul ke darmiyan hai damakta chehra tera qayamat
tere shabistan ke goshe goshe mein raushni ka zuhur har-pal
aqidaton ke diye se raushan nafis kamra tera qayamat
kanwal badan par machalti sansen chhalakte saghar ki tarjuman hai
gudaz banhen surahi gardan sarapa naqsha tera qayamat
wafaen mujh se jafaen mujh se adaen har-pal yahi hain 'zakir'
kabhi hai ghamza kabhi hai ishwa ye naz naKHra tera qayamat
(1315) Peoples Rate This