Kya Bataen Gham-e-furqat Mein Kahan Se Guzre
kya bataen gham-e-furqat mein kahan se guzre
mausam-e-gul se jo nikle to KHizan se guzre
dil se aankhon se makinon se makan se guzre
dard phir dard hai jab chahe jahan se guzre
husn ki shoKH-sari ka yahi hasil nikla
aatish-e-ishq baDhi aah-o-fughan se guzre
raqs karte hi rahe KHwab dhunon par lekin
sans ke tar sabhi soz-e-nihan se guzre
ba-wazu ho ke mera zikr jo karte the kabhi
aaj palTe hain zaban se wo bayan se guzre
wo mohabbat ho ke isar-o-wafa ho 'zakir'
ishq ke tir shab-o-roz kaman se guzre
(1080) Peoples Rate This