KHwab-nagar Ke Shahzade Ne Aise Bhi Nirwan Liya
KHwab-nagar ke shahzade ne aise bhi nirwan liya
chand sajaya aankhon mein aur raat ko sar par tan liya
duniya-dari khel-tamasha ishq-o-mohabbat rahat-e-jaan
aag mein apni jal kar hum ne ban bargad ye gyan liya
wo aankhen hi aisi thin hum Dub gae anjaane mein
jaan ke kis ne TuTi-phuTi kashti mein tufan liya
kaun sa parda hum se tha tum dil ki baaten kah sakte the
muft mein tum ne baat baDhai ghairon ka ehsan liya
hirs-o-hawas ka daur hai is mein bikte hain sab rishte-nate
jaan pe apni kyun kar tum ne auron ka bohtan liya
waqif kab tha pyar se pahle lekin 'zakir' pyar ke baad
qismat rekha husn-o-ada aur naz-o-jafa sab jaan liya
(1159) Peoples Rate This