KHayal-o-KHwab Mein Dubi Diwar-o-dar Banati Hain
KHayal-o-KHwab mein Dubi diwar-o-dar banati hain
kunwari laDkiyan aksar hawa mein ghar banati hain
kabhi ghamza kabhi ishwa kabhi shoKHi kabhi masti
adaen bankpan mein sandali paikar banati hain
hisen aanchal mein pinhan kahkashaen raat hone par
ghani zulfon pe raqsan dilruba manzar banati hain
jhuki palkon pe Thahre aansuon par ho guman aisa
ki jaise sipiyan aaghosh mein gauhar banati hain
mohabbat ka karishma hai ki ulfat ki karamat hai
hasinaen taKHayyul mein mah-o-aKHtar banati hain
lagegi par kaise kashti-e-dil soch lo 'zakir'
talatum-KHez nazren rose jab saghar banati hain
(1026) Peoples Rate This