Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cbe4e01e61165e96171a691504573483, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Is Bazm-e-tasawwur Mein Bas Yar Ki Baaten Hain - Zakir Khan Zakir Poetry In English - Darsaal

Is Bazm-e-tasawwur Mein Bas Yar Ki Baaten Hain

is bazm-e-tasawwur mein bas yar ki baaten hain

mizhgan ke qaside hain ruKHsar ki baaten hain

honTon ke darichon par dildar ki baaten hain

parda bhi hai parde mein didar ki baaten hain

izhaar-e-mohabbat ka andaz nirala hai

inkar ke lahje mein iqrar ki baaten hain

din-raat tasawwur mein taswir tumhaari hai

is par ki duniya mein us par ki baaten hain

yun kaif numayan hai ghazlon mein meri jaise

aafaq ki wusat mein fankar ki baaten hain

aankhon ko meri paDh kar saqi ne kaha hans kar

iqan zara mushkil mai-KHwar ki baaten hain

ye ishq tumhein 'zakir' kis moD pe le aaya

zanjir hai pairon mein jhankar ki baaten hain

(1089) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Bazm-e-tasawwur Mein Bas Yar Ki Baaten Hain In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Is Bazm-e-tasawwur Mein Bas Yar Ki Baaten Hain is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Is Bazm-e-tasawwur Mein Bas Yar Ki Baaten Hain for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Is Bazm-e-tasawwur Mein Bas Yar Ki Baaten Hain in PDF.