Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_59d2d4fc039d2b103c6607d9ba93c925, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hijr Ka Ye Karb Sara Be-asar Ho Jaega - Zakir Khan Zakir Poetry In English - Darsaal

Hijr Ka Ye Karb Sara Be-asar Ho Jaega

hijr ka ye karb sara be-asar ho jaega

koi naghma yar ka jab chaaragar ho jaega

zindagi ek daera hai gar muKHalif bhi chalen

fasla un duriyon ka muKHtasar ho jaega

walihana dastaken tum de ke dekho to sahi

dil mera KHali makan hai yar ghar ho jaega

ab tumhaare mo'tarif hain rahbar-o-rahzan sabhi

tum jise apna kahoge mo'atabar ho jaega

hai mayassar aaj jaanan kar lo apne gham ghalat

kal ko 'zakir' bhi purani ek KHabar ho jaega

(1121) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr Ka Ye Karb Sara Be-asar Ho Jaega In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Hijr Ka Ye Karb Sara Be-asar Ho Jaega is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Hijr Ka Ye Karb Sara Be-asar Ho Jaega for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Hijr Ka Ye Karb Sara Be-asar Ho Jaega in PDF.