Ek Ishq-e-na-tamam Hai Ruswaiyan Tamam
ek ishq-e-na-tamam hai ruswaiyan tamam
ugne lagi hain jism mein tanhaiyan tamam
kya shahr-e-arzu tha basa aur ujaD gaya
ab sar-kashida phirti hain purwaiyan tamam
sanson ke zer-o-bam se hai saghar mein iztirab
jam-o-subu se pur-asar angDaiyan tamam
roz-e-azal se sochte zehnon ki ham-safar
sahra ki dhup aur ye parchhaiyan tamam
harf-o-sada ki lai pe jo utra tera KHayal
bajne lagi hain ghazlon mein shahnaiyan tamam
garche piroe sher mein jazbaat-e-rang-o-bu
lekin bayan na ho sakin gahraiyan tamam
uThte rahe hain shan se yaran-e-mai-kada
hoti rahi hain dahr se ranaiyan tamam
aamad ka silsila nahin sher-o-suKHan mein aaj
phaili hui hain qafiya-paimaeyan tamam
'zakir' nashist-e-dard maqam-e-KHirad bhi hai
mansub is KHirad se hai binaiyan tamam
(2025) Peoples Rate This