Dhup The Sab Raste Darkar Tha Saya Hamein
dhup the sab raste darkar tha saya hamein
ek sarab-e-KHush-numa ne aur tarsaya hamein
dil zamin par us ka chehra naqsh ho kar rah gaya
barha phir aaine ne KHud hi Thukraya hamein
dhup sahra dhul dariya KHar raston ki chubhan
manzilon ke shauq ne kya kya na dikhlaya hamein
mustarad karta gaya hai dilruba chehron ko dil
baad us ke koi chehra kab bhala bhaya hamein
hum kahin matub the majzub the mahbub the
jis ki jaisi thi nazar us ne wahi paya hamein
dard-o-rahat wasl-o-furqat ishq ke hain rang-o-rup
jate jate us ne 'zakir' KHub samjhaya hamein
(1178) Peoples Rate This