Dard Ko Zabt Ki Sarhad Se Guzar Jaane Do
dard ko zabt ki sarhad se guzar jaane do
ab sameTo na hamein aur bikhar jaane do
hum se hoga na kabhi apni KHudi ka sauda
hum agar dil se utarte hain utar jaane do
tum tayyun na karo apni hadon ka hargiz
jab bhi jaise bhi jahan jae nazar jaane do
itna kafi hai ki wo sath nahin hai mere
kyun hua kaise hua chaak jigar jaane do
dil jalao ki taKHayyul ka jahan raushan ho
tirgi KHatm karo raat sanwar jaane do
ishq sani hai to phir us mein shikayat kaisi
hum na kahte the ki ek zaKHm hai bhar jaane do
yar mamul pe lauT aaenge kuchh sabr karo
us fusun-gar ki nigahon ka asar jaane do
shart jina hai bhaTakna to bahana hai faqat
wo jidhar jata hai har sham-o-sahar jaane do
main ne roka tha use is ka hawala de kar
ruTh kar phir bhi wo jata hai agar jaane do
KHush-guman hai wo bahut jit pe apni 'zakir'
hum bhi chal sakte the ek chaal magar jaane do
(1733) Peoples Rate This