Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_81885f69de6d8a9ba1219092311e7df7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chup Ke Sahra Mein Faqat Ek Sada Kaun Hun Main - Zakir Khan Zakir Poetry In English - Darsaal

Chup Ke Sahra Mein Faqat Ek Sada Kaun Hun Main

chup ke sahra mein faqat ek sada kaun hun main

ai KHuda tu hi bata mujh ko zara kaun hun main

Dubta hun to ubhar jata hun lamha-bhar main

kis ke honTon pe hun main harf-e-dua kaun hun main

apni hi zat ki tashrih nahin kar sakta

rok leti hai mujhe meri ana kaun hun main

wasl ne mere tashaKHKHus ko sambhaale rakkha

hijr-o-wahshat se kabhi puchh zara kaun hun main

main zamin-zad bhula baiTha hun mansab apna

hai KHabar apni na apna hai pata kaun hun main

us ke jaane se ye mahsus hua hai 'zakir'

hai meri ruh alag jism juda kaun hun main

(1163) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chup Ke Sahra Mein Faqat Ek Sada Kaun Hun Main In English By Famous Poet Zakir Khan Zakir. Chup Ke Sahra Mein Faqat Ek Sada Kaun Hun Main is written by Zakir Khan Zakir. Read famous Poem Chup Ke Sahra Mein Faqat Ek Sada Kaun Hun Main for youth and Student by Zakir Khan Zakir. Free Download Chup Ke Sahra Mein Faqat Ek Sada Kaun Hun Main in PDF.