Badan Ke Dosh Pe Sanson Ka Maqbara Main Hun
badan ke dosh pe sanson ka maqbara main hun
KHud apni zat ka nauha hun marsiya main hun
bila-sabab bhi nahin yasiyat tabiat mein
azal se KHana-badoshi ka silsila main hun
mera wajud tumhaari baqa ka zamin hai
tumhaare an-kahe jazbon ka aaina main hun
bahaaren jis pe hon nazan chaman bhi rashk kare
nazar-nawaz ruton ka wo qafila main hun
bichhaD ke mujh se abas manzilon ki chahat hai
jidhar bhi jaoge har-samt rasta main hun
un aahaTon pe meri wahm ka guman kaisa
main kah chuka hun meri jaan barha main hun
ghazal hai koi to main bhi hun lazmi hissa
kisi hayat ke misre mein qafiya main hun
tumhein KHabar ho to dena pata mujhe 'zakir'
jise talash hai KHud ki wo gum-shuda main hun
(1265) Peoples Rate This