Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0171d5fcef1f0b3349c0c948383ab963, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tere Baghair KaTe Din Na Shab Guzarti Hai - Zaki Tariq Poetry In English - Darsaal

Tere Baghair KaTe Din Na Shab Guzarti Hai

tere baghair kaTe din na shab guzarti hai

hayat kis se kahun kaise ab guzarti hai

guman hota hai mujh ko tumhaare aane ka

hawa idhar se dabe panw jab guzarti hai

hamara kya hai kisi taur kaT hi jaegi

sukun se un ki to sham-e-tarab guzarti hai

mujhe wo lamha qayamat se kam nahin hota

koi karah samaat se jab guzarti hai

guzar raha hun jis ehsas ke azab se main

qayamat aisi kisi dil pe kab guzarti hai

ye rah-e-shauq hai kuchh ehtiyat hai lazim

'zaki' saba bhi yahan ba-adab guzarti hai

(1055) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Baghair KaTe Din Na Shab Guzarti Hai In English By Famous Poet Zaki Tariq. Tere Baghair KaTe Din Na Shab Guzarti Hai is written by Zaki Tariq. Read famous Poem Tere Baghair KaTe Din Na Shab Guzarti Hai for youth and Student by Zaki Tariq. Free Download Tere Baghair KaTe Din Na Shab Guzarti Hai in PDF.