Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bf091d3698d0e283706e3e11edc1e84c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
SimTe Hue Jazbon Ko Bikharne Nahin Deta - Zaki Tariq Poetry In English - Darsaal

SimTe Hue Jazbon Ko Bikharne Nahin Deta

simTe hue jazbon ko bikharne nahin deta

ye aas ka lamha hamein marne nahin deta

qismat meri raaton ki sanwarne nahin deta

wo chand ko is ghar mein utarne nahin deta

karti hai sahar zard gulabon ki tijarat

meyar-e-hunar zaKHm ko bharne nahin deta

baadal ke siwa kaun hai hamdard rafiqo

tirshul si kirnon ko bikharne nahin deta

aankhon ke dariche bhi 'zaki' us ne kiye band

suraj ko samundar mein utarne nahin deta

(996) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SimTe Hue Jazbon Ko Bikharne Nahin Deta In English By Famous Poet Zaki Tariq. SimTe Hue Jazbon Ko Bikharne Nahin Deta is written by Zaki Tariq. Read famous Poem SimTe Hue Jazbon Ko Bikharne Nahin Deta for youth and Student by Zaki Tariq. Free Download SimTe Hue Jazbon Ko Bikharne Nahin Deta in PDF.