Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2429ce4b8afd6188c22e1a24aa66736d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Itab-o-qahr Ka Har Ek Nishan Bolega - Zaki Tariq Poetry In English - Darsaal

Itab-o-qahr Ka Har Ek Nishan Bolega

itab-o-qahr ka har ek nishan bolega

main chup raha to shikasta makan bolega

abhi hujum hai us ko julus banne de

tere KHilaf har ek be-zaban bolega

hamari chiKH kabhi be-asar nahin hogi

zamin KHamosh sahi aasman bolega

jo tum subut na doge azab ke din ka

gawah ban ke ye sara jahan bolega

kabhi to aaega wo waqt bhi 'zaki' tariq

yaqin ban ke hamara guman bolega

(1320) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itab-o-qahr Ka Har Ek Nishan Bolega In English By Famous Poet Zaki Tariq. Itab-o-qahr Ka Har Ek Nishan Bolega is written by Zaki Tariq. Read famous Poem Itab-o-qahr Ka Har Ek Nishan Bolega for youth and Student by Zaki Tariq. Free Download Itab-o-qahr Ka Har Ek Nishan Bolega in PDF.