Bhare To Kaise Parinda Bhare UDan Koi
bhare to kaise parinda bhare uDan koi
nahin hai tir se KHali yahan kaman koi
thin aazmaishen jitni tamam mujh pe huin
na bach ke jaega ab mujh se imtihan koi
ye tota maina ke qisse bahut purane hain
hamare ahd ki ab chheDo dastan koi
nae zamane ki aisi kuchh aandhiyan uTThin
raha safine pe baqi na baadban koi
bikhar ke rah gain rishton ki sari zanjiren
bacha saka na riwayat ko KHandan koi
'zaki' hamara muqaddar hain dhup ke KHeme
hamein na ras kabhi aaya saeban koi
(1227) Peoples Rate This