Teri Justuju Teri Aarzu Mujhe Kaam Tere Hi Kaam Se
teri justuju teri aarzu mujhe kaam tere hi kaam se
tu hi zindagi ka hai muddaa mera nam tere hi nam se
tera husn hai meri zindagi tera ishq hai meri aashiqi
teri fikr hai meri shairi tera zikr mere kalam se
tere husn ne ye ghazab kiya ki har ahl-e-dil hua mubtala
jise dekha tera hi said tha na koi bacha tere dam se
gai aadhi raat guzar magar na to aae KHud na li kuchh KHabar
main taDap raha hun idhar udhar yunhi intizar mein sham se
mere dilruba mere dilruba na ye lutf hai na koi ata
agar aana hai to phir aa bhi ja na yun jhank rauzan-e-baam se
ye ghalat hai kufr hai saqiya mujhe tera hi raha aasra
tu pila pila tu pila pila nahin ijtinab haram se
main wo tishna-lab hun ki saqiya hai azal se KHushk mera gala
na zaban ko mai ka mila maza na lab-ashna hue jam se
tera soz-e-ishq hai zindagi tera jazb-e-husn hai be-KHudi
tujhe pa ke KHush hai tera 'zaki' nahin kaam aish-e-dawam se
(1560) Peoples Rate This