Tere Naz-o-ada Ko Tere Diwane Samajhte Hain
tere naz-o-ada ko tere diwane samajhte hain
haqiqat shama ki kya hai ye parwane samajhte hain
mukammal wardaten hain mere guzre zamane ki
haqaeq se jo na-waqif hain afsane samajhte hain
junun ke kaif-o-kam se aagahi tujh ko nahin naseh
guzarti hai jo diwanon pe diwane samajhte hain
teri maKHmur aankhon ko koi kuchh bhi kahe lekin
hum un ko saqi-e-dauran ke paimane samajhte hain
na ras aaengi mujh ko ai jahan aabaadiyan teri
mere dil ki lagi ko tere virane samajhte hain
na kuchh ahl-e-junun samjhe na kuchh ahl-e-KHirad samjhe
rumuz-e-zindagi kuchh phir bhi mastane samajhte hain
'zaki' apnon ne to hum ko hamesha hi sataya hai
haqiqat kuchh hamari phir bhi be-gane samajhte hain
(1088) Peoples Rate This