Aaj Phir Un Se Mulaqat Pe Rona Aaya
aaj phir un se mulaqat pe rona aaya
bhuli-bisri hui har baat pe rona aaya
ghair ke lutf-o-inayat pe rona aaya
aur apnon ki shikayat pe rona aaya
aql ne tark-e-talluq ko ghanimat jaana
dil ko badle hue haalat pe rona aaya
ahl-e-dil ne kiye tamir haqiqat ke sutun
ahl-e-duniya ko riwayat pe rona aaya
hum na samjhe the ki ruswai-e-ulfat to hai
ai junun teri KHurafat pe rona aaya
wo bhi din the ki bahut naz tha apne upar
aaj KHud apni hi auqat pe rona aaya
mana karte magar is tarah se lazim bhi na tha
aap ke talKH jawabaat pe rona aaya
chhoDiye bhi meri qismat mein likha tha ye bhi
aap ko kyun mere haalat pe rona aaya
(1153) Peoples Rate This