Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bad8a9a75c7e822632796189b5816a6e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qayamat Ka Koi Hangam Ubhre - Zakauddin Shaya.n Poetry In English - Darsaal

Qayamat Ka Koi Hangam Ubhre

qayamat ka koi hangam ubhre

ujale Dub jaen sham ubhre

kisi talwar ki qatil zaban par

lahu chahke hamara nam ubhre

gire galiyon ke qadmon par andhera

faza mein raushni-e-baam ubhre

hain sath-e-bahr par maujen pareshan

jo din Dube to koi sham ubhre

hazaron rang-parcham sar-nigun hain

wo hum hi the ki bas gum-nam ubhre

hamari ibtida miTTi mein ek raaz

hamare waste anjam ubhre

(981) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qayamat Ka Koi Hangam Ubhre In English By Famous Poet Zakauddin Shaya.n. Qayamat Ka Koi Hangam Ubhre is written by Zakauddin Shaya.n. Read famous Poem Qayamat Ka Koi Hangam Ubhre for youth and Student by Zakauddin Shaya.n. Free Download Qayamat Ka Koi Hangam Ubhre in PDF.