Mahki Shab Aaina Dekhe Apne Bistar Se Bahar
mahki shab aaina dekhe apne bistar se bahar
KHwab ka aalam reza reza chashm-e-manzar se bahar
hashr sada hai parwazon mein rui ke gale unche pahaD
aasman ek shishe ka TukDa waqt ke shahpar se bahar
KHun ugalta jism shafaq si phuli aankhon aankhon mein
qaus-e-quzah ke nazuk bazu dast-e-KHanjar se bahar
zehn-o-nazar mein andar andar phulte-phalte mausam-e-gul
KHushbu KHushbu lafz ke jadu rang lab-e-tar se bahar
tashbihen pechida kinae do-alam ke razm-o-ilm
ghaur se dekho kuchh bhi nahin us husn ke paikar se bahar
(905) Peoples Rate This