Utren Gahrai Mein Tab KHak Se Pani Aae
utren gahrai mein tab KHak se pani aae
sab ko ai dost kahan ashk-fishani aae
phandni paD gai kanTon se bhari baD hamein
jitne paigham the phulon ki zabani aae
bas yahi soch ke kirdar nibhate jao
jaane kis moD pe anjam-e-kahani aae
ek muddat main KHamoshi se raha mahw-e-kalam
tab kahin ja ke ye lafzon mein maani aae
kahin dhoka hi na ho shauq nai manzil ka
mere hamrah koi rah purani aae
'shaz' KHud mein hi ganwae hue KHud ko rakhna
hath jab tak na koi apni nishani aae
(1165) Peoples Rate This