Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_603f9083eb6c7dc1daa12b60052873f5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Us Ka KHayal Dil Mein GhaDi Do GhaDi Rahe - Zakariya Shaz Poetry In English - Darsaal

Us Ka KHayal Dil Mein GhaDi Do GhaDi Rahe

us ka KHayal dil mein ghaDi do ghaDi rahe

phir is ke baad mez pe chae paDi rahe

aisa nahin ki hum karen baaten na be-hisab

lekin ye kya ki kil si dil mein gaDi rahe

phir ghar mein ek aahani pinjra dikhai de

khiDki mein kafi der jo laDki khaDi rahe

bikhri ho jaise chandni barg-e-gulab par

muskan us ke honTon pe aaise paDi rahe

dil mein KHushi ke phuTte yunhi rahen anar

teri hansi ki yunhi sada phuljaDi rahe

khiDki to 'shaz' band main karta hun bar bar

lekin hawa-e-shauq ki zid par aDi rahe

(1346) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Ka KHayal Dil Mein GhaDi Do GhaDi Rahe In English By Famous Poet Zakariya Shaz. Us Ka KHayal Dil Mein GhaDi Do GhaDi Rahe is written by Zakariya Shaz. Read famous Poem Us Ka KHayal Dil Mein GhaDi Do GhaDi Rahe for youth and Student by Zakariya Shaz. Free Download Us Ka KHayal Dil Mein GhaDi Do GhaDi Rahe in PDF.