Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e65d4f36bb77082918392336fbccfaac, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mohabbat Ek Aisa Rasta Hai - Zakariya Shaz Poetry In English - Darsaal

Mohabbat Ek Aisa Rasta Hai

mohabbat ek aisa rasta hai

chalo jitna ye itna rasta hai

hawa hai dhund hai aur tez barish

pahaDi hai zara sa rasta hai

kabhi ukta gaya main KHud hi KHud se

kabhi apna hi dekha rasta hai

zamane ho gae hain chalte chalte

kahan jata ye dil ka rasta hai

kahin sansen chaDha deta hai meri

kahin aahista chalta rasta hai

wahi oDhi hui hai dhul ab tak

wahi pairon se lipTa rasta hai

ye kaise moD par main aa gaya hun

ki chalta hun to chalta rasta hai

mohabbat hausla hai apna apna

kahin manzil kisi ka rasta hai

sabhi ki apni apni manzilen 'shaz'

sabhi ka apna apna rasta hai

(1193) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ek Aisa Rasta Hai In English By Famous Poet Zakariya Shaz. Mohabbat Ek Aisa Rasta Hai is written by Zakariya Shaz. Read famous Poem Mohabbat Ek Aisa Rasta Hai for youth and Student by Zakariya Shaz. Free Download Mohabbat Ek Aisa Rasta Hai in PDF.