Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_78b7b29a9383045db87641cd648ae80a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Tujhse Koi Baat Bhi Karne Ke Nahin The - Zakariya Shaz Poetry In English - Darsaal

Hum Tujhse Koi Baat Bhi Karne Ke Nahin The

hum tujh se koi baat bhi karne ke nahin the

imkan bhi haalat sanwarne ke nahin the

bhar Dala unhen bhi meri bedar nazar ne

jo zaKHm kisi taur bhi bharne ke nahin the

ai zist idhar dekh ki hum ne teri KHatir

wo din bhi guzare jo guzarne ke nahin the

kal raat teri yaad ne tufan wo uThaya

aansu the ki palkon pe Thaharne ke nahin the

un ko bhi utara hai baDe shauq se hum ne

jo naqsh abhi dil mein utarne ke nahin the

ai gardish-e-ayyam hamein ranj bahut hai

kuchh KHwab the aaise ki bikharne ke nahin the

(3225) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Tujhse Koi Baat Bhi Karne Ke Nahin The In English By Famous Poet Zakariya Shaz. Hum Tujhse Koi Baat Bhi Karne Ke Nahin The is written by Zakariya Shaz. Read famous Poem Hum Tujhse Koi Baat Bhi Karne Ke Nahin The for youth and Student by Zakariya Shaz. Free Download Hum Tujhse Koi Baat Bhi Karne Ke Nahin The in PDF.